Maharana Pratap ki story
Maharana Pratap rajsthan ke sbse surveer shasak the . Inhe rajsthan ka gorv kaha jata h . Aaj hum Rana Pratap k prakrm or sahs kaare me baat krenge.
Maharana Pratap ka janam 9 may 1540 ko kumbhalgarh durg ke badal Mahal me huaa tha. unke pita ka naam udaisingh tha. Unki Mata ka naam jaiwanta Bai tha .
Inka rajyabhishek 28 February 1572 ko gogunda me Holi ke din huaa tha. Tb inki umra 32 varsh thi. inka vivah 1557 me ajab deh panwar k sath huaa.
1570 Ad , Akbar ne nagor me darbar lgaya jisme mevad k alawa adiktr rajputon ne adhinta swikar KR li.
Akbar ne maharana Pratap se adhinta swikar KR wane ke liye apne duto ko bheja.
1. Jalal Khan -1572 me Pratap k pass bheja gya.
2. Mansingh- June 1573 me bheja .
3. Bhagwant das- oct.1573 me bheja.
4. Todarmal- December 1573 me bheja.
Lekin Rana Pratap ne adhinta swikar nhi ki . Is Karan Akbar ne maharana Pratap ko yudh ke dwara bandi bnane ki yojna bnai. Jo ajmer ke kile me bnai gyi.is kile ko angrejo k smay megnij ka Kila kaha jata h .
Is yudh ka senapati mansingh ko niyukt Kiya gya . Jo 6 April 1576 ko sahi Sena lekr ravana ho gya or nathdwara se lge hue khamnur k molela gav k pass apna pdav dala.
Maharana Pratap ne gogunda aur khamnor k mdhay haldighati me pdav dala.
Is trh haldighati ka yudh suru ho gya . 18 June 1576 ko haldighati ka yudh suru ho gya .
Is yudh me ek mugal itihaaskar badhayuni bi samil tha. Is yudh ko karnal James Tod ne haldhighati ke yudha ko mevad ki thermopylae kaha tha.
Is yudh me Rana Pratap ki taraf se puna,ramprashad or gajmukta , gajraj k beech yudh huaa.
Rana Pratap k ghode ka naam chetak tha. Jo is yudh me Shahid ho gya. Chetak ki chhatri Balicha gav me h.
Haldhighati k yudh me kisi ki bi koi nirnayak Jeet nhi Hui .
Iske baad Rana Pratap ne Kai yudh lde or apne adiktr rajay ko prapat KR liya. Or unhone apne rajay ki rajdhani chavand ko agle 28 varshon ke liye rajdhani bnaya.
Rana Pratap ne chamunda mata ka mandir bi bnaya tha.
1597AD, dhanush ki dor ko chadate smay Rana Pratap ko chot lgi , jiske Karan 19 jan. 1597 AD ke chavand me mot ho gyi . Maharana Pratap ka antim sanskar bandoli gav k nikat nale k pass Kiya gya.
Is mahan yodha ne kbi bi Akbar ki andinta swikar nhi ki or umr br janglo me btkta raha.
Rana Pratap ka vakya tha " jisko rakhe shain Mar ske n koy."
Aapko Maharana Pratap ki jivni pd KR kesa laga Hume jarur comment box me btaye. Hum esi hi roj or nyi story lekr aanyege.
Thanks 🙏🙏
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें